Ek group of teenagers aur ek aadmi ko 2 ladko ke murder ke liye doshi paya gaya, jo mistaken identity ka ek dukh bhara case tha.
Incident Ka Pura Maamla
27 January 2024 ke din, Mason Rist (15) aur Max Dixon (16) ko Knowle West, Bristol mein unke ghar ke paas maar diya gaya. Dono best friends the, aur apni daily life khushi se jee rahe the, lekin ek galat pehchaan ki wajah se unhe rival gang ke member samajhkar brutally target kiya gaya. Mason ko uske front door ke bilkul paas knife maar diya gaya, aur uske sath Max ko bhi maar diya gaya.
Yeh attack kaafi shock kar dene wala tha, ye ladke unn logo ka kuch nahi bigada tha lekin,or us gang se koi lena-dena nahi tha inn logo ka , jiska yeh group badla lena chahta tha.
Kaun The Accused?
- Anthony Snook (45): Ek adult jo is group mein shaamil tha.
- Riley Tolliver (18): Ek young adult jo is crime ka hissa tha.
- Do ladke (17 aur 16 saal ke): Jinhe unki age ki wajah se naam nahi diya gaya.
- Ek 15 saal ka ladka: Isne Mason ke murder ko accept kiya, par Max ka murder karne se inkaar kiya.
Baaki sab ne apne upar lagaye gaye murder ke charges ko deny kiya.
Court Ka Faisla
Bristol Crown Court mein trial ke baad, jury ne sabhi accused ko guilty declare kiya.
- Court ne 15 saal ke ladke ke claim ko reject kar diya, jo kehta tha ki uska Max ke murder mein mera haath nahi tha.
- Har ek member ko dono murders ke liye responsible paya gaya.
Case Ka Asar
Yeh case mistaken identity ka ek painful example hai, jo ye dikhata hai ki aisi violence ka anjaam kitna bhayanak ho sakta hai. Mason aur Max, jo best friends aur innocent bhi the, unhe ye bhi nahi pata tha ki hamare sath ye ho jayega.ek galat samajh ke karan apni jaan kho baithe.
Yeh decision victims ke parivaar ke liye ek relief hai, lekin samaj ke liye ek wake-up call bhi, ki youth violence aur gang-related issues ko turant address karna zaroori hai jiisse ye case vapas se na ho.