Mahakumbh Mela Bharat ke sabse bade aur pavitra festival me se ek hai, jo dharm, aastha aur sanskriti ka prateek mana jata hai. Is tyohaar ka sambandh Hindu dharm ke prachin shastro se hai, jisme yah mana jata hai, ki yahan shnan [ bath] aur pooja se paap ka nash hota hai. aur moksha ki prapti hota hai.
Mahakumbh Mela kyu hota hai?
Mahakumbh ka aayojan Hindu dharmik tithi aur grah-gatividhiyon ke adhar par hota hai. Iska chij ka sambandh Samudra Manthan ki katha se hai, jisme devta aur asur amrit ke liye samudra manthan kar rahe the. Amrit paane ke baad, devta asuron se bachne ke liye usse chaar jagahon par le gaye – Haridwar, Prayagraj, Nashik aur Ujjain. Wahin, yah mana jata hai ki us dauraan kuch amrit ki kuch boonde Haridwar, Prayagraj, Nashik aur Ujjain jagahon par giri thi.
Isliye, in chaar jagahon par Mahakumbh ka aayojan hota hai. Har 12 varsh me yah mela ek baar kisi ek jagah par lagta hai, aur ise manane ka mukhya uddeshya hai dharmik aastha aur samudayik ekta ka pradarshan karna.
Iska naam Mahakumbh kyu rakha gaya?
“Mahakumbh” shabd 2 words se mil kar bana hai – “Maha,” jiska arth hai bada ya vishal, aur “Kumbh,” jiska arth hai ghada pot. Yah ghada Samudra Manthan ki katha me amrit ka prateek hai. Mahakumbh ka arth hai ek vishal utsav, jo amrit aur pavitrita ka prateek hai.
Is naam ke peeche ek aur drishtikon yah hai ki yah ek aisa samagam hai, jisme crore log ek jagah ikattha hote hain, apne paap dho kar jeevan ko pavitra banate hain. Iska vishal swaroop hi isse “Maha” ka darja deta hai.
Mahakumbh ka Mahatva
- Aastha ka Prateek: Mahakumbh ek aisi jagah hai jahan log apne dharmik riti-rivaazon aur aastha ke liye milte hain.
- Samajik Ekta: Yeh desh ke kone-kone se logon ko ek jagah lana aur ek samajik ekta ka sandesh dena hai.
- Moksha ka Marg: Hindu dharm ke anusar, ismein shnan karne se paap ka nash hota hai aur moksha ki prapti hoti hai.
- Sanskrutik Parampara: Yah prachin bharatiya sanskriti aur parampara ko banaye rakhne ka madhyam hai.isliye ye mahakumbh mela ka ayojan karte hai.
Mahakumbh ke Mukhya Akarshan
- Shahi Snan: Akharas ke sadhus aur mahant shobhayatra ke roop me shnan karte hain.
- Dharmik Pravachan: Vibhinn sant aur mahatma pravachan dete hain, jo aastha ko aur majboot bana dete hain.
- Mela aur Sanskritik Karyakram: Is dauraan apko anek sanskritik karyakram aur pradarshaniyan dekhne ko milta hain.
Antim Vichar
Mahakumbh Mela sirf ek tyohaar nahi, balki Bharatiya sanskriti ka ek aaina hai. Yah aastha, dharmikta aur samajik ekta ka tyohar hai jo har varsh crore logon ko ek jagah lekar aata hai. Iska naam aur iska mahatva hamesha amar rahega.
“Jo Mahakumbh mela me nahi gaya, usne dharm ki pavitrita ka anubhav nahi kiya.”
Aayiye, is Mahakumbh mela ke aagman par apne jeevan ko aur pavitra banaiye!