Indian Oil Refinery mai bada blast.
Aaj, 11 November 2024 ko Vadodara ke Indian Oil Refinery mein ek bhayankar blast hua. Yeh ghatna lagbhag 2 baje dopahar ke aas-paas plant number A-1, A-2 aur ek boiler mein shuru hua tha. Jaise hi boiler explode hua, uski bhayankar awaaz aayi jisse aag lag gayi. aur vah aag ne bohot jaldi storage tanker tak pahuch gaya jisse kafi bada explosion hua.
Explosion ke baad turant siren bhi bajaya gaya tha, jisse sabko alert kiya gaya. Fire ne poore refinery ke area ko apni lapet mein le liya tha aur logon mein kaafi panic ho gaya or vaha pe bhagdad mach gayi or log kafi darr gaye or apni jaan bachane lage.
Authorities ne immediately evacuation shuru kar diya aur fire control karne ke liye fire tenders bheje gaye. Logon ko toxic fumes se bachne ke liye ghar ke andar rehne ko kaha gaya tha jisse or safe rahe.
Yeh incident kaafi serious tha, aur ab authorities aur Indian Oil Corporation investigation kar rahe hain ki yeh explosion kaise aur kyun hua.
Ab tak koi serious injuries ya fatalities ki reports nahi mili hain, ek police official ne bataya.
Jab explosion hua, uske baad refinery se bhari smoke uthti dikhayi di aur awaaz 8 km tak sunayi di. Locals ne apne ghar se bhaag kar bahar nikalna shuru kar diya, kyunki blast ne unke gharo ko hilaa diya tha.
Indian Oil Corporation (IOC) ne kaha hai ki aag ka kaaran abhi tak pata nahi chal paaya hai.
DCP (Traffic), Jyoti Patel ne bola, “Rescue operations chal rahe hain. Dheere-dheere sab kuch clear ho jayega.” Blast ke baad, jo workers refinery mein maujood the, unhe turant evacuate {kisi jagah se logon ko suraksha ke liye nikaal lena} kar diya gaya.
BJP MLA Dharmendrasinh Vaghela ne kaha, “Ab tak koi bhi death ki report nahi aayi hai, lekin kuch logon ko minor injuries hui hain, jinko hospital bheja gaya.”
Indian Oil Corporation Gujarat mein ek 13.7 million metric tonnes per annum ka integrated refinery-cum-petrochemical complex chalata hai. aage dekhte hai iss bade explosion ke piche kiska hath hai or ye bhi oata lagana hoga ki ye kaise hua or kyu hua.