Justin Welby
Bishop ne Archbishop Justin Welby se resignation dene ko kaha hai Church abuse scandal ke chalte. Yeh scandal {badnami} kaafi time se chal raha hai aur kaafi bada issue ban gaya hai, jisme Church of England ke andar clergy members par sexual abuse ke allegations hain, jo kai saalon tak iss chijo ko chupaya gaya hai. Is scandal(badnami) mein kai log, especially bachche aur vulnerable adults, ko abuse kiya gaya, aur kai baar yeh cases ignore kiye gaye ya chhupaye gaye jisse church ki badnami hoti isliye iss chij ko chupaya gaya hai.
Background:
- Yeh jo abuse scandal hai, uske baad kaafi survivors ne apne experiences share kiye hain aur investigations ne yeh bataya hai ki Church of England ne in abuses ko handle karne mein bohot kamiyaabi nahi dikhayi. Is scandal kaafi reputation ko damage kar chuka hai. aur leadership ke accountability par questions uthaye gaye hain jo ye acha nahi hai.
Call for Resignation:
- Bishop of Truro, Philip Mounstephen, ne recently Justin Welby se kaha hai ki unhe resign kar dena chahiye, kyunki unhone jo abuse allegations the, unko properly address nahi kiya. aur change lane mein fail huye hain. Mounstephen ne justin Welby ko criticize kiya hai ki unhone Church ki galtiyon ko acknowledge nahi kiya aur jo survivors hain unko proper justice nahi diya.
Scandal aur Church ki Response:
- Justin Welby, jo Archbishop of Canterbury hain, ne is abuse crisis ke liye regret aur apology express ki hai, lekin kai survivors aur clergy members ka kehna hai ki unka response kaafi weak raha hai. Church ko apni policies aur reforms ko seriously change karna chahiye tha unhe pehle hi ye kadam uthana tha lekin vo nakamyab rahe, jo ab tak nahi ho paya.
Debate:
- Yeh situation ek debate ban gaya hai, ki kya justin Welby ko apni position se resign kar dena chahiye ya fir unhe kuch samay dena chahiye taaki wo reforms kar sakein. Unke supporters keh rahe hain ki unme kuch badalav dikh rahe hai, lekin unke critics ka kehna hai ki unki leadership ne church ko ab tak properly guide nahi kiya aur iss crisis ko address karne mein fail ho gaye hain unhe jaldi resignkar dena chahiye.
Aage kya hoga?
- Ab Justin Welby ka future kaafi uncertain ho gaya hai. Survivors aur Church ke kuch members ka kehna hai ki jab tak proper accountability aur reforms nahi hota, tab tak Church ko scrutiny ka samna karna padega.
Yeh situation ek bada issue ban gayi hai aur religious institutions worldwide ke liye ek warning hai ki abuse cases ko serious lena zaroori hai aur accountability ko dikhana bohot important hai.